Naat Sharif - Aye Sabz Gumbad Wale lyrics in English - Amjad Sabri
Aye Sabz gumbad wale
Manzoor dua karna
Jab waqt e naza aye Aaqa
Deedar ataa karna
Mein qabar andheri mein
Ghabraun ga jab tanha
Imdad meri karnay
Aa jana Rasool Allah
Roshan meri turbat ko
Lillah zara karna
Jab waqt e naza aye Aqa
Deedar ataa karna
Mujrim hon zamanay ka
Mahshar mein bharam rakhna
Rusva e zamana hoon
Kamli mein chupa lena
Rusva e zamana hoon
Dozakh se bacha lena
Manzoor dua meri
Maqbool e khuda krna
Jab waqt e naza aye Aqa
Deedar ataa karna

Comments
Post a Comment